zindagi ki raah hai kaanton se bhari
phoolon se saja lete hain..
shikwa-shikayaton ka daur hai chuk gaya
ranjo-gham ko sar-aankhon par lete hain
hote dekha hai kayi cheharon ko benakab
phir bhi doston ki tamanna rakhate hain
dard ko kam karne ka ye bhi hai tareeka
choti-2 baton par hans liya karte hain
hairan-o-pareshan rehte hain duniya ke chalan se
apne jazbaton ko zinda rakhte hain
gham-o-ashq ka waise bhi kaun hai kharidar
sabke saath hum yun hi hans-hansa lete hain
har manzil hai mumkin har rasta hai mushkil
har roz naye safar par nikal lete hain
socha tha jiyenge zindagi sharton par apni
ab har mod par khud ko badal lete hain
jab bhi tanhai se ghabrata hai mann
bheed ke sailaab mein khud ko dubo lete hain
tuti ummeed se badkar dard nahin koi
har subah nayee ummeed se jagte hain
jab bhi uth jata hai mann teri khudai se
maa ki aankhon mein dekh lete hain
tujhse shikast manzoor nahin ai zindagi
hausle apne buland rakhte hain
Monday, August 20, 2007
Subscribe to:
Posts (Atom)